10

Desh Duniya Ki Khabrein : Bihar Voting, JNU Elections, Telangana Updates aur Haramain Appeal

 News Round-up Ek Nazar ma


Telangana se lekar Delhi tak aur Haramain Sharifain tak-aaj ki badi khabrein, TSPSC exams par Dafa 163 ka nifaaz, gareeb khandanon ko 200 unit muft bijli, Praja Bata program ka aaghaz, 4 MLAs ke khilaf na-ahli ki karwai, Metro kaam par Adalat ka notice, Hajj qist ki aakhri tareekh, Waqf jaayedaadon ka Umeed Portal training, private colleges ki hadtal, sone-chaandi ki qeematon mein izafa, Bihar voting record, Andhra bus aag hadsa, Rahul Gandhi aur Brazilian model viral, JNU elections mein Left ki jeet, aur Haramain Sharifain ne Umrah zaa’ireen ko Influenza vaccine lagwane ki appeal ki.



Aaj ki desh aur duniya ki khaas khabrein – Bihar elections, JNU student union results, Telangana updates, aur Haramain Sharifain health advisory.

Telangana aur Hyderabad ki Khabrein


Jubilee Hills By-Election – Seizures Aur Sakht Pabandi

Halka Assembly Jubilee Hills ke zimni intekhab ke dauran Enforcement ki teamen puri tarah se mutaharrik ho gayi hain. Intekhabati zaabta ikhlaq ke nifaaz ke baad ab tak ₹3 crore 33 lakh naqad rakam zabt ki ja chuki hai.

Sharab, Saariyan Aur Pressure Cooker Zabt

District Collector RV Kannan ne bataya ki Enforcement teamon ne 68,585 liter sharab zabt ki, jiska andaazah ₹4,63,297 lagaya gaya hai. Iske alawa muft taqseem ke liye rakhe gaye laptops, gaadiyan, pressure cooker aur saariyan bhi zabt ki gayi hain, jinki kul maaliyat ₹1,37,840 hai.

Gaanja Aur Nasheeli Ashyaa Par Karwai

Police aur Aabkari department ne talashi muhim ke dauran ₹2 lakh ke qareeb gaanja aur nasheeli ashyaa bhi qabze mein li hain. Hukumat ne yeh bhi wazeh kiya hai ke intekhabi dauraan kisi bhi qism ki na-jaiz taqseem ya rishwat dene ki koshish bardasht nahi ki jaayegi.

Sakht Nigrani Aur Flying Squad Teams

Collector ne kaha ke Jubilee Hills mein intekhabi zaabta ikhlaq ko sakhti ke saath naafiz karne ke liye Flying Squad teamen, video surveillance units aur nigrani afsaran tainaat kiye gaye hain. In teamon ka maqsad hai ke intikhabat bilkul shaffaf aur aman ke mahaul mein tamam kiye jaayen.


Jubilee Hills By-Election – Awam Ke Jama Hone Par Pabandi

Jubilee Hills ke 11 November ko hone wale zimni intekhab ke dauran Law & Order ki surat-e-haal ko qaim rakhne ke liye Cyberabad Police ne awam ke jama hone par pabandi laga di hai.

Police Ka Faisla Aur Muddat-e-Pabandi

Commissioner Police Avinash Mohanty ne bataya hai ke Jubilee Hills Assembly halqe ke tahat maraakiz-e-raaye dehi ke paas paanch se zyada afraad ke jama hone par pabandi rahegi. Yeh pabandi 9 November shaam 6 baje se 12 November shaam 6 baje tak naafiz rahegi.

Jalson Aur Ghair Qanooni Ijtima Par Rok

Police ne wazeh kiya hai ke is dauran kisi bhi qism ke jalson, meeting ya ghair qanooni taur par ijtima karne par sakht pabandi hogi. Yeh qadam intekhabat ke dauran aman aur intizami nizam ko barqarar rakhne ke liye uthaya gaya hai.

Ghar-Ghar Intekhab Muhim Par Ijazat

Police ne kaha hai ke agar paanch ya usse zyada afraad kisi party ya ummeedwar ke saath ghar-ghar intekhabi muhim chala rahe hon to unhe is se istasna diya gaya hai. Is muhim ke liye unhe qanooni ijazat leni zaroori hogi.

Cyberabad Police ne awam se appeal ki hai ke woh shanti aur aman barkarar rakhte hue intekhabi asoolon par amal karein.


Taarikhi Imaaraton Ke Qareeb Metro Kaam: Adalat Ne Naqsha

Hyderabad ke Purane Shahar mein Metro Rail ke taameerati kaamon ke silsile mein Telangana High Court ne riyasati hukumat se mukammal naqsha aur tafseelaat talab ki hain.

Adalat Ka Hukm

Awaami mufaad-e-aama ki ek arzi par sama'at ke dauraan, darkhwast guzaar ne kaha ke Mehakma Aasar-e-Qadeema ki ijazat ke baghair Metro ke kaamon se taarikhi imaraton ko nuqsan pahunch raha hai.

Hukumat Ka Jawab

Hukumat ke wakeel ne adalat ko bataya ke taameeraat imtinaai hudood ke andar nahi hain, aur kisi imarat ko nuqsan nahi pahunch raha. Unhone kaha ke yeh mansooba Purane Shahar ki taraqqi ke liye aham hai.

Aindah Sama'at

Adalat ne case ki aindah sama'at 18 November tak mulatvi kar di hai aur hukumat ko is arsay tak naqsha aur tafseelaat pesh karne ka hukm diya hai.


Revanth Reddy Ki Sadarat Ma Cabinet Izlaas-Nayi Tarekh Elan

Chief Minister Revanth Reddy ki sadarat mein 7 November ko hone wala Cabinet Izlaas ab mulatvi kar diya gaya hai. Hukumat ne elan kiya hai ke ab yeh izlaas 12 November subah 3:00 baje mun'aqid hoga.

Wuzra Aur Aala Ohdedaar Ki Shirkat

Is nayi tareekh par hone wale izlaas mein tamam wuzra aur aala ohdedaar shirkat karenge. Izlaas ke agenda mein kai aham masail par guftagu hone ki ummeed hai.

Muqaami Intekhabat Par Faisla Mulaq

Zaraye ke mutabiq, guzishta Cabinet Izlaas mein muqaami intekhabaat ke in’aqaad ke bare mein koi wazeh faisla nahi ho saka tha. Pehle yeh tay hua tha ke 7 November ke izlaas mein is par aakhri faisla liya jaayega, lekin High Court ke faisle ke baad hukumat ne izlaas mulatvi kar diya.

Aham Masail Par Mashwara

12 November ke izlaas mein hukumat ke kai qadam, nayi policy par ghoor-o-fikr aur aane wale intekhabaat ke silsile mein faisle liye jaane ki sambhavana hai.


Ghazala Hashmi Ko CM Revanth Reddy Ki Mubarakbad

Telangana ke Chief Minister Revanth Reddy ne Virginia ke Lieutenant Governor ke ohde par Hyderabad se talluq rakhne wali Ghazala Hashmi ke intekhab par mubarakbad di hai. Chief Minister ne social media platform X par likha ki Ghazala Hashmi ka ye kaamyabi Hyderabad ke liye fakhr ki baat hai.

Hyderabad Mein Paidaish, America Mein Kaamyabi

Ghazala Hashmi ka janam Hyderabad mein hua tha. Baad mein woh America mein jaa kar wahin bas gayin. Unhone wahan ek aham siyasi ohda hasil karte hue nayi tareekh likhi hai.

CM Aur K.T. Rama Rao Ki Mubarakbad

Chief Minister Revanth Reddy ne kaha ki Ghazala Hashmi ne awaami khidmat ke zariye ek misaal qaim ki hai aur unke liye aane wale waqton mein mazeed kaamyabiyon ki dua ki. Saabiq Wazir aur BRS ke Working President K.T. Rama Rao ne bhi unhe mubarakbad di.

Pehli Hindustani Khaatoon Lieutenant Governor

Ghazala Hashmi Virginia ke Lieutenant Governor ke ohde par muntakhib hone wali pehli Hindustani khaatoon ban gayi hain. Telangana ke kai wuzra aur aham shakhsiyat ne bhi unke liye fakhr aur khushi ka izhaar kiya.

Bandi Sanjay Ka Controversial Bayaan – Siyasi Mahaul Mein Garmahat

Hyderabad ke Borabanda mein BJP ke intekhabi jalse aam ke dauran Markazi Wazir aur party ke Qaumi General Secretary Banti Sanjay ne ek aisa bayaan diya jisse siyasat mein hungama mach gaya. Unhone kaha, Topi pehankar vote maangne ka din aaya toh main apna sar kata loonga magar topi nahi pehnoonga. Is bayaan ke baad siyasi halqe mein garam mahaul paida ho gaya.

Congress Par Tez Hamla

Banti Sanjay ne kaha ki Chief Minister Revanth Reddy aur Congress ke ummeedwar ne apni intekhabi muhim ke dauran topi pehni, jabki Owaisi ne topi nahi pehni. Unhone kaha ki Congress ke neta sirf voton ke liye kuch bhi kar sakte hain. Banti Sanjay ne elaan kiya ki jis din unhe topi pehankar vote maangna pade, wahi unka siyasat ka aakhri din hoga. Unhone kaha, Main apna sar kata loonga lekin voton ke liye topi nahi pehnoonga.

Jubilee Hills Mein BJP Ka Jhanda Lehraane Ka Daawa

Bandi Sanjay ne jazbaati lehje mein kaha ki BJP bahut jald Jubilee Hills ke maidaan par apna jhanda lehra kar dikhayegi. Unhone hukumat par ilzaam lagaya ki Borabanda ke jalse ki pehle ijazat di gayi, phir use mansookh kar diya gaya.

Purana Shahar Aur Borabanda Dono Hamare Hai

Banti Sanjay ne kaha ki Purana Shahar ho ya Borabanda, dono jagah BJP pahunch kar rahegi. Unhone daawa kiya, Humein ijazat lene ki zarurat nahi, BJP har jagah apni awaaz uthayegi. BJP ne kuch din pehle Charminar ke paas Bhagya Lakshmi Mandir ke samne bhi jalse aam ka intazam kiya tha.

Is bayaan ne Telangana ke siyasi mahaul ko aur zyada garam kar diya hai.


Cheverla Bus Accident – Betiyon Se Mehroom Baap Ka Dard

Cheverla mein ek bus hadse ne ek baap ki poori zindagi badal di. Apni teen betiyon ko kho baithne wala Elliah Goud muawze ka check lene gaya toh apne jazbaat par qabu na pa saka aur zaar-o-qatar ro pada. Cheverla ke is sadak hadse mein 19 logon ki jaan gayi thi jismein Daandoo ke rehne wale Elliah Goud ki teen betiyan bhi shaamil theen. Is waqye ke baad uska poora khandaan gham aur udaasi mein doob gaya.

Muawze Ke Waqt Baap Ka Dard

Elliah Goud ko hukumat ki taraf se har beti ke liye 7 lakh rupaye diye gaye, is tarah total 21 lakh rupaye ka check uske haath mein tha. Lekin paisa uske gham ko kam nahi kar saka. Check vasool karte waqt wo phoot phoot kar ro pada. Usne kaha ki uski ek beti job karti thi aur mahine ke 60 hazaar kamaati thi. Baap ne rote hue kaha ki ab kya meri teenon betiyon ki kamayi ek saath mil gayi hai. Uske yeh alfaaz sun kar wahan maujood sab logon ki aankhein bhar aayi.

Teenon Betiyan Taleem Mein Aage Barh Rahi Theen

Maloomaat ke mutabiq teenon betiyon mein se do, Sai Priya aur Nandini, Koti Women’s Degree College mein padh rahi theen. Teesri beti Tanusha MBA kar rahi thi aur saath hi job bhi karti thi. Ghar walon ne bataya ki teeno college jaane ke liye isi bus se nikalti theen jo us din hadse ka shikaar ban gayi.

Is hadse ne sirf ek baap nahi balki poore ilaqe ko hila kar rakh diya.


Telangana Hukumat Ka Aham Hukum -Vande Mataram Laazmi

Telangana hukumat ne ek aham hukum jaari karte hue riyasat ke tamam schools ko hidayat di hai ki aaj Jumme ke din subah 10 baje Vande Mataram geet ijtimai taur par gaaya jaaye. Yeh faisla is liye liya gaya hai kyunki aaj Vande Mataram geet ke 150 saal mukammal ho rahe hain aur is mauqe par poore mulk mein khaas program munazzam kiye ja rahe hain.

Markaz Ki Hidayat Aur Qaumi Program

Markazi hukumat ne tamam riyasaton ke Chief Secretaries ko hidayat di hai ki schools ke saath saath Collectorate, dafaatir aur tamam sarkari idaron mein bhi subah ke waqt Vande Mataram laazmi taur par gaaya jaaye.

Awam Se Bharpoor Shirkat Ki Appeal

Markaz ne awaam se appeal ki hai ki woh is qaumi program mein poore jazbe aur shauq ke saath hissa lein. Hukumat ka kehna hai ki yeh mauqa deshbhakti aur ekta ko mazboot karne ka hai.


TSPSC Departmental Exams Aur Section 163 BANS Ka Nifaaz

Telangana Public Service Commission ke Departmental Exams 8 November se 14 November tak mun'aqid honge. Imtihani markaz ke qareeb Dafa 163 BANS ka nifaaz rahega.

Nizamabad Mein Security Intizaam Mazboot

Commissioner Police Nizamabad, Sai Chaitanya, ne apne press note mein kaha hai ki TSPSC Departmental Exams 2025 ke dauran imtihani markazon ke aas-paas sakht security intizaam kiya gaya hai. Police ne elaan kiya hai ki exam ke waqt Dafa 163 BANS laagu rahegi jismein zyada afraad ka jama hona, posters lagana, ya shor-sharaba karna manaa hoga.

Ummeeedwaron Ko Hidayat

Police ne candidates ko mashwara diya hai ke woh waqt se pehle exam centre pahunch kar apne zaroori documents saath rakhein. Imtihani markazon ke aas-paas traffic control ke liye bhi khaas police teams tainaat ki gayi hain taake imtihaan pur aman andaaz mein mukammal ho sake.


Driving Licence Aur Hasdssat – Maharaat Ki Kami Se Khatra

Aaj bhi riyasat ke kai ilaakon mein log baghair driving licence ke bhaari gaadiyan chala rahe hain. Bahut se naujawan jo loriyaan, tippers, RTC buses, khaas buses aur cabs chala rahe hain, unke paas zaroori tarbiyat aur tajurba nahi hota. Mahaart kam hone ke bawajood ye log apni gaadiyon ki raftaar badha kar chala rahe hain, jis se sadak haadsaat mein roz baroz izafa ho raha hai.

Mahaarat Ki Kami Aur Qawaneen Se Na-Waqifiyat

Kai drivers na sirf driving ke qawaneen se na-waaqif hain balki unhe gaadi par poora control rakhna bhi nahi aata. Isi wajah se sadkon par hadse aam hotay ja rahe hain. Mahaart na hone ki wajah se gaadi ko sambhalna mushkil ho jaata hai aur chhoti si ghalti bhi bade hadse ka sabab ban jaati hai.

Cheverla Ka Khaufnaak Hadsa

Ranga Reddy zille ke Cheverla mein kuch din pehle ek tipper ke driver ne gaadi par se control kho diya tha, jiske natije mein khaufnaak hadsa pesh aaya. Yeh misaal dikhati hai ki bhaari gaadiyaan chalane ke liye sirf licence ka hona kaafi nahi, balki proper training bhi zaroori hai.

Licence Agents Aur Racket Ka Khulasa

Kai drivers training ke bajaye licence agents ke zariye driving licence haasil kar rahe hain. Yeh agents apna commission lekar unhe licence dilwa dete hain. Mukhtalif riyasaton mein driving test shahraahon par kiye jaate hain jabki Greater Hyderabad aur Telangana mein yeh test special tracks jaise 8, H aur U design par liye jaate hain.

Lekin ilzaamaat yeh bhi hain ki Nagole jaise bade test tracks ke alawa kuch jagah aise bhi hain jahan bina test ke licence jaari kar diye ja rahe hain. Ibrahimpatnam mein to yeh racket khule aam chal raha hai jahan brokers aur driving school ke zariye aane wale ummeedwaron se licence ke badle mein bhaari raqam vasool ki ja rahi hai.

Zarurat Hai Sakht Nigrani Aur Asli Tarbiyat Ki

Experts ka kehna hai ke sadak suraksha ke liye sahi training aur sakht nigrani zaroori hai. Licence sirf test pass karne ka certificate nahi, balki zimmedari ka saboot hona chahiye. Baghair asliyat ke licence aur bina maharat ke driving ke wajah se haadsaat kam nahi honge, balki aur barhte rahenge.


Gareeb Khandanon Ko 200U Muft Bijli–₹2830 Crore Ka Kharch

Deputy Chief Minister Bhatti Vikramarka ne kaha hai ke Telangana mein 53 lakh gareeb khandaanon ko mahana 200 unit muft bijli faraham ki ja rahi hai. Is scheme se sarkari khazaane par ₹2830 crore ka izaafi bojh pad raha hai.

Bhadradri-Kothagudem Mein ₹42 Crore Ka Kharch

Unhone kaha ke sirf Bhadradri-Kothagudem zille mein hi hukumat gareebon ke liye muft bijli scheme par ₹42 crore saalana kharch kar rahi hai.

Pargi Mein Tarraqiati Kaam

Bhatti Vikramarka ne Pargi mein mukhtalif tarraqiati projects ka iftitah kiya aur kaha ke ₹1000 crore ke electricity infrastructure projects ko manzoori di gayi hai.

  • 33/11 KV ke 9 naye sub-stations banaye jaayenge

  • 400 KV aur 220 KV ke sub-stations bhi qaayam honge

Defense Projects Mein Naye Mauqe

Unhone yeh bhi kaha ke defense projects mein ₹3000 crore se zyada sarmayakari ki tawaqqo hai, jisse muqaami naujawanon ko rozgaar ke naye mauqe milenge.


Praja Bata Program Bijli Ohdedaron Ki Awam se Mulaqat

Southern Power Distribution Company Limited ne bijli safin ko behtar khidmat faraham karne ke liye ek naya aur munfarid program shuru kiya hai jiska naam hai (Karatoo Praja Bata) Yeh program Hyderabad, Secunderabad, Nalgonda, Medak, Mahabubnagar aur Rangareddy mein amal mein laya jaayega.

Program Ka Maqsad

Deputy Chief Minister Bhatti Vikramarka ne is program ka iftitah kiya aur kaha ke iska maqsad bijli sarbarahi ko behtar banana aur awaami shikayaat ka seedha hal nikalna hai.

Har Hafte Field Visits

Praja Bata ke under, Mehakma Bijli ke ohdedaar aur staff – Managing Director se le kar linemen tak – har Mangal, Jummeraat aur Hafte ko field visits karenge.

  • Bijli ke network, transformers, line aur switches ka jaayza liya jaayega.

  • Safin se seedhi mulaqat kar ke shikayaat aur tajaveez li jaayengi.

9500 Mulazimeen Ka Hissa

Managing Director Musharraf Farooqui ke mutabiq, is program mein 9500 mulazimeen hissa lenge — jinmein Directors, Chief Engineers, Divisional aur Assistant Engineers, Line Inspectors aur Linemen shaamil hain.

Awaami Fawaid

Is program ke zariye:

  • Bijli sarbarahi mein behtari aayegi

  • Shikayaat mein kami hogi

  • Bijli network mustahkam hoga

  • Bijli khasaare mein kami laayi jaayegi

Praja Bata– Awam aur Hukumat ke darmiyan seedhi rabt ka naya qadam


Telangana Assembly Mein 4 MLAs Ke Khilaf Na-Ahli Ki Karwai

Telangana Assembly ke Speaker Prasad Kumar ne chaar arkaan ke khilaf na-ahli ki darkhwaston ki sama'at ka aaghaaz kar diya hai. Yeh sama'at Jummeraat aur Jumme ke din hogi, jabki mazeed karwai 12 aur 13 November ko jaari rahegi.

Sama'at Mein Shaamil MLAs

  • Venkat Rao (Bhadrachalam)

  • Pocharam Srinivas Reddy (Banswada)

  • Dr. Sanjay Kumar (Jagtial)

  • R.K. Reddy (Srilinampalli)

BRS ke vukalaa in MLAs ke khilaf dalaail pesh kar rahe hain. Speaker ne kaha hai ke tamam 8 cases ki sama'at 13 November tak mukammal karne ka irada hai.

Security Intizaamaat

Assembly ke ihaate mein ghair mamooli security ke intezamaat kiye gaye hain aur media aur visitors ke daakhile par pabandi aayed kar di gayi hai.

Is karwai ko Telangana Assembly ki siyasat mein aham moqam hasil hai, jahan party tabdeeliyon aur rukuniyat ke ikhlaqi masail par faislay tawaqqo kiye ja rahe hain.


Hajj Ke Liye Doosri Qist Ada Karne Ki Aaj Aakhri Tareekh

Hajj 2026 ke haajiyon ke liye doosri qist ada karne ki aaj aakhri tareekh hai. Maulana Syed Shah Ghulam Afzal Biya Khuso Pasha aur Dr. Mohammed Safiullah, Telangana State Hajj Committee ke arkaan ne kaha hai ke Hajj Committee of India ne Jumma 7 November ko qist ki adaaygi ki aakhri tareekh muqarrar ki hai.

Haajiyon Ke Liye Zaroori Hidayaat

Unhone haajiyon se appeal ki hai ke woh apni qist ki raqam fauri taur par ada kar dein taake unka daakhila mukammal ho sake. Jo haaji ab tak pehli qist ada nahi kar sake, unhein dono aqsaad ki raqam ₹2,77,300 ek saath ada karni hogi.

Jo haaji pehli qist ada kar chuke hain, unhein doosri qist ke taur par ₹1,25,000 jama karna hai.

Zaroori Dastaavezaat

Raqam ada karne ke baad haajiyon ko yeh dastaavezaat jama karne honge:

  • Payment slip

  • Medical Fitness Certificate

  • Online daakhil karda form

  • Passport ki xerox copy

Rabta Ke Liye

Mazeed maloomaat ke liye haajiyon ko Hajj Committee ki website www.hajcommittee.gov.in par jaana chahiye ya Telangana State Hajj Committee ke dafter ke phone number 040-23298793 par subah 10:30 se shaam 5:00 baje tak rabta kar sakte hain.


Private Colleges Ki Hadtal Jaari: Fee Reimbursement Ka Masla 

Telangana mein fee reimbursement ke baqaya jaat ki adaaygi ke mutaalbe par private peshawarana colleges ki ghair-mu'ayyan muddat ki hadtal chauthe din bhi jaari rahi.

2000 Se Zyada Colleges Band

Riyasat bhar ke taqreeban 2000 peshawarana taaleemi idare, jinmein Engineering, Pharmacy, MBA, MCA, B.Ed. aur Nursing Colleges shaamil hain, hadtal ke sabab band rahe. Colleges ki intezamia ka kehna hai ke agar hukumat ne ₹1000 crore ke baqaya mein se kam se kam 50% raqam fauran jaari nahi ki, to woh apna ehtijaaj aur sakht karenge.

Federation Ka Boycott Aur Demand

Federation of Associations of Telangana Higher Institutions (FATHI) ne Jawaharlal Technological University (JNTU) ke taht hone wale Pharmacy exams ke boycott ka elaan kar diya hai. Federation ne university se guzarish ki hai ke exams mulatvi kiye jaayein jab tak hukumat colleges ke baqaya dues clear nahi karti.

Hukumat Par Dabao Badh Raha Hai

Colleges ki bandish se hazaaron talaba ke imtihaan aur classes mutaasir ho rahe hain. Talaba aur walidain dono ne hukumat se appeal ki hai ke woh is masle ko jaldi se hal kare taake taaleemi nizaam dobara aam raaste par aa sake.


Desh ki Khabrein


Sone Aur Chaandi Ki Qeematon Mein Izafa–Saraafa Bazaar Ma

Hindustan ke saraafa bazaaron mein Jummeraat ke din sone aur chaandi dono ki qeematon mein izafa dekha gaya.

Sona Hua Mehenga

All India Sarafa Association ke mutabiq, sone ki qeemat mein ₹600 ka izafa hua hai. Ab Darul Hukumat Delhi mein 99.9% khaalis 24 Karat meyaar ka 10 gram sona ₹1,24,700 mein farokht hua.

Chaandi Ki Qeemat Bhi Badhi

Chaandi ki qeemat mein bhi ₹1800 ka izafa record kiya gaya. Ab chaandi ₹15,300 mein farokht ho rahi hai.

Aalmi Bazaar Ka Asar

Aalmi bazaaron mein bhi qeematon mein tabdeeli dekhi gayi jahan ek ounce sona $819 aur ek ounce chaandi $486 mein farokht hui.

Saraafa bazaar ke tajiron ke mutabiq, aane wale dino mein sooni aur chaandi dono ke bhaav mein mazeed utar-chadhav dekhne ko mil sakta hai.


Andhra Ma Ek Aur Bus Ko Aag–Khauf Ka Mahaul

Andhra Pradesh ke Vizianagaram Manyam Zille ke Pachipenta Mandal, Arasala Balasa ke qareeb ek aur bus shola-posh ho gayi. Yeh Odisha RTC ki bus thi jo Visakhapatnam se Jaipur ja rahi thi.

Hadsa Kis Waqt Hua

Subah 7:30 baje bus ke engine mein aag lag gayi, jiske baad driver ne foran gaadi roki aur musafiron ko surakshit tarah se utar diya. Bus mein us waqt 5 musafir sawaar the. Fire Brigade ne mauqe par pahunch kar aag par qabu paaya.

Bara Waqti Ihtiyaat Se Bacha Jaani Nuqsan

Khushqismati se is waqey mein kisi ki jaan nahi gayi, lekin bus poori tarah jal kar khaak ho gayi.

Afsar Aur Wazir Ka ReAction

Itla milte hi Riyasati Wazir Sandhya Rani ne ohdedaron se waqey ki tafseelaat maangi.

Pehle Bhi Hua Tha Aisa Hadsa

Kuch din pehle hi Kurnool mein ek private travels bus bhi jal kar tabah ho gayi thi. Ab dobara aise waqey ne riyasat mein khauf aur bechaini ka mahaul paida kar diya hai.


Bihar Ke Pehle Marhale Ma Record Voting–Tabdeli Ya Hukumat

Bihar Assembly Elections ke pehle marhale mein Jummeraat ko 121 halqon mein record voter turnout dekha gaya. Is dafa 64.6% logon ne apna vote daala, jo 2020 ke muqable mein 8% zyada hai.

Voting Mein Naya Record

Bihar ke intekhaabi record ke mutabiq, pehle marhale mein itni zyada voting pehli dafa dekhi gayi hai.

  • 2010: 52.1%

  • 2015: 55.9%

  • 2020: 56.1%

  • 2025: 🔸 64.6%

Is baar 36 lakh naye voters ne bhi apna haq-e-raaye dehi ka istemaal kiya.

Siyasi Halqon Mein Behas

Siyasi maharreen ka kehna hai ke itna zyada voter turnout tabdeeli ka paighaam bhi ho sakta hai, ya phir Nitish Kumar sarkar par awam ka aitemaad ka izhaar bhi. Aksar kaha jaata hai ke jab voting zyada hoti hai, toh log tabdeeli chahte hain, lekin hamesha aisa zaroori nahi hota.

Filhal, sabki nigah is baat par hai ke yeh record voting Bihar ki siyasat ka rukh kis taraf modti hai.


Rahul Gandhi Ki Press Conference Par Brazilian M Ka Reaction

Congress ke leader Rahul Gandhi ne apni haal hi ki press conference mein daawa kiya tha ki Haryana Assembly Elections mein bade paimane par voton ki dhaandhli hui hai. Unhone misaal ke taur par ek Brazilian model ki tasveer dikhai — jo dekhte hi dekhte social media par viral ho gayi.

Model Ka Naam Aur Reaction

Mazkura model ki pehchaan Larissa Neiri ke naam se hui hai — jo ek Brazilian digital influencer hain. Larissa ne Instagram par apna reaction dete hue kaha:

Mujhe hairani hui jab dekha ki meri tasveer Bharat mein vote chori ki khabar mein dikhayi gayi. Mujhe kai logon ke call aaye, interview maange gaye. Mujhe yaqeen nahi ho raha tha!

Unhone wazahat di ki yeh tasveer unki purani photo hai, jab woh 18–20 saal ki thi, aur shayad kisi stock image website se kharidi gayi thi.

Larissa Neiri Ka Bayan

Kisi ne meri photo kharid kar mujhe Bhartiya aurat ke roop mein dikhaya — yeh to bilkul hi mazaak lagta hai. Mera Bharat ki siyasat se koi lena-dena nahi. Main sirf ek influencer hoon.

Rahul Gandhi Ka Ilzaam

Rahul Gandhi ne press conference mein kaha tha ki Haryana ke intekhabaat mein 25 lakh jaali vote daale gaye aur BJP ko inhi ke zariye faida mila. Unhone Brazilian model ki tasveer dikhate hue sawaal uthaya:

Agar is tasveer se 22 jaali vote banaye gaye, to Election Commission ne inhe kyun nahi pakda?

Press conference ke baad se yeh tasveer aur model dono hi internet par trending topic ban gaye hain.


JNU Students Union Elections Ma Left Wing Party Ki Jeet

Delhi ke Jawaharlal Nehru University (JNU) ke students union elections mein baayein baazoo (Left Wing) ki tanzeemon ne dhamakedar jeet haasil ki hai. ABVP ko ek bhi seat nahi mil saki, jabki Left Alliance ne chaaron aham ohdon par clean sweep kar liya.

🔹 Election Results

  • Sadar (President): Aditi Mishra — 10,937 votes, ABVP ke Vikas Patel ko shikast

  • Naaib Sadar (Vice President): K.J. Gokul Babu

  • Secretary: Sunil Yadav

  • Joint Secretary: Danish Ali

🔹 Political Context

JNU ke intekhabaat hamesha ki tarah is baar bhi qaumi siyasat ka markaz bane rahe. Asal muqabla Left parties aur ABVP ke darmiyan raha, lekin talaba ne is dafa bhi Left ke haq mein ek tarfa faisla suna diya.

🔹 NSUI Ka Performance

Congress ki talaba tanzeem NSUI bhi maidan mein thi, magar woh bhi koi khaas asar dikhane mein nakaam rahi.

🔹 Student Sentiment

Experts ke mutabiq, JNU ke talaba ne ek baar phir campus politics mein secular aur progressive soch ko tarjeeh di, jisse Left Wing ki mazboot position aur bhi mustahkam ho gayi hai.


Videsh ki Khabrein


Haramain Sharifain Intezaamia Ki Umrah Zaa'ireen Se Appeal 

Mumlikat-e-Saudi Arab ke mukhtalif ilaakon mein haal ke dino mein Influenza ke maamlaat mein izafa dekha gaya hai. Har saal mausam tabdeel hone se pehle aise asraat samne aate hain. Is silsile mein Haramain Sharifain Intezaamia ne Umrah zaa’ireen se appeal ki hai ke woh Influenza ka teeka zaroor lagwaayein taa ke woh nazla, zukaam aur doosri mausami beemariyon se mehfooz rahen.

🔹 Intezaamia Ki Hidayat

Sabq website ke mutabiq, Haramain Intezaamia ne kaha hai ke Influenza aur doosri viruses ke phailao ko rokne ke liye teeka lagwana bahut zaroori hai. Is ke saath hi unhone yeh bhi kaha ke Haramain Sharifain ke andar mask pehnna ek zaroori ehtiyaati qadam hai, jisse log kayi beemariyon se bach sakte hain.

🔹 Ehtiyaati Tadaabeer

Intezaamia ne zaa’ireen ko naseehat ki hai ke woh.

  • Mask pehnein

  • Haath bar-bar dhoyein

  • Hujoom wali jagahon par zyada dair tak na rukein

  • Agar bukhar ya zukaam ho to foran sehat markaz se rabta karein

🔹 Teeka Lagwane Ki Sahulat

Yeh bhi wazeh kiya gaya hai ke Haramain Sharifain ke qareeb waaqi sehat maraakiz mein Influenza ka teeka muft lagaya ja raha hai, taa ke zaa’ireen apni sehat ki hifazat asaani se kar sakein.

Intezaamia ka kehna hai ke in ehtiyaati tadaabeer par amal karke zaa’ireen na sirf apne aap ko balki doosre mu’minon ko bhi beemariyon se mehfooz rakh sakte hain.


Antim shbad

Yehi thi aaj ki mukhtasir lekin aham khabrein jo desh-duniya ke mukhtalif gochon se saamne aayi hain.  Bharat Batao News ke saath jude rahiye — har badi khabar sabse pehle, asaan zubaan mein.


Related Post:

Desh Duniya ki Khabrein : Bihar Chunav, Aur America ke Intekhabaat


🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

 Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.📌Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:

👉 More Updates:
🔗 Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts
  • Bihar record voting
  • JNU students union left win
  • TSPSC departmental exams Section 163 BANS
  • Jubilee Hills by election seizures
  • Jubilee Hills public gathering ban
  • Cheverla bus hadsa
  • Andhra bus aag
  • Driving licence racket Ibrahimpatnam
  • Private colleges fee reimbursement hadtal
  • Gareeb khandanon ko 200 unit muft bijli
  • Praja Bata bijli field visits
  • Sarkari schools ICT instructors
  • Waqf jaayedaadon ka Umeed Portal training
  • Hajj 2026 qist aakhri tareekh
  • Haramain influenza vaccine appeal
  • Ghazala Hashmi mubarakbad
  • Banti Sanjay controversial bayaan
  • Metro kaam naqsha adalat
  • Cabinet izlaas mulatvi
  • 4 MLAs na-ahli ki karwai
  • Sona chaandi qeemat mein izafa
  • Rahul Gandhi press conference Larissa reaction
  • News Round-up Ek Nazar ma
  • Hinglish news
  • Hindi hinglish news

Comments